Teri yaadon se hum lipat kar so gaye,
Raat ke andhere mein tanha se reh gaye,
Jab subah ki pehli kiran chubti aankhon ko rulaayi,
Teri yaad, shayad uss pal, teri yaad aayi.
Ek anjaani raah par hum chal diye,
Na koi laksh, na koi manzil ke liye,
Jab apni hi dhadkano ki awaaz gunjti chali aayi,
Teri yaad, shayad uss pal, teri yaad aayi.
Un sab ke beech khud ko akela paakar,
Apno mein khud ko begaana paakar,
Jab sab ke chehre mein dikhi teri parchayi,
Teri yaad, shayad uss pal, teri yaad aayi.
Gam ke aansu jaise aadat ban gaye,
Patjhad ke pattey mohabbat ban gaye,
Jab jab humne palak jhapkayi,
Teri yaad, uss pal, har pal, teri yaad aayi.
~C
PS: This is my first attempt at Hindi poetry. Feedback is more than welcome :)